Tuesday, 5 April 2016

🌹بِسْـــــــــمِ الـلَّـهِ ِالرَّحْمَـــنِ اارَّحِيــــم🌹

🌹اَصَّـــــلَاةُ وَاسّـــلَامُ ُعَلَيـكَ يَـا رَســُولَ الـلَّـه صَلَّ الـلَّـهُ تَعـَالَى عَلَيـهِ وَآَلــِهِ وَسَلـَّــــمَ🌹

💥TABLEEGI JAMAA'AT AHAADEES KI ROSHNI MEIN💥

💐Musannif (Writer) HAZRAT ALLAAMA ARSHADUL QAADRI عَلَـيهِ ارَّحمَه💐

💥💥PART-14💥💥

💐👉11) HADEES Number "6", "12" mein bataya gaya hai ke yeh giroh mukhtaleef Naamoň aur mukhtaleef Raňg-o-Roop ke saath har Daur mein maujood rahega. Yahaaň tak ke is ka Aakhri Dasta Masih dajjaal ke saath niklega. Tableegi Jamaa'at par yeh dono HADEESEŇ Půri tarah Můntabiq (Theek, Baraabar) hoti hain. Kyuň ke Tableegi Jamaa'at Aqaaed-e-Baatila ki Alam Bardaar hai, woh bilkul wahi hain jinheň Abdul Wahaab Najdi, Ibn-e-Taimiya aur Ibn-e-Qayyam se le kar Mua'tazila aur Khwaarij tak har Daur ke baatil parastoň ne mukhtaleef Naamoň, mukhtaleef Jamaa'atoň aur mukhtaleef Raňg-o-Roop ke saath parwaan chađhaaya hai. Sirf Naam naya hai baaqi saari gumraahiyaaň půraani hain.
💐👉Yahiň se is Tāāweel (Bahaana, Bachaao ki Sůrat) ka darwaaza band ho jaata hai ke HUZOOR ﷺ ne jis Jamaa'at ke Zahoor (Zaahir hone) ki khabar di thi woh HAZRAT ALI رَضِي اَللَّــهُ تَعَالَى عـَنـهُ Ke zamaane mein Nest-o-Naabůd ho gayi kyuň ke yahaaň Sawaal kisi Mutaiyyan Jamaa'at ka nahi balke us kaafiraana zahen ka hai jo Us waqt bhi maujood tha, aur Naamoň ke ikhtilaaf ke saath Aaj bhi maujood hai aur badalte huwe Zůroof-o-Ahwaal (Haalaat) ke mutaabbiq khůrooj-e-dajjaal tak maujood rahega.

💐👉12) HADEES Number "11", "12" mein is giroh ki ek nishaani yeh bhi bataayi gayi hai ke yeh apne mizaaj ke lihaaz se bad tareen log hoňge. Tableegi Jamaa'at ke Haq mein agar Aap Is nishaani ki Tasdeeq (Saboo, Proof) karna chaahte hoň to kisi pukhta kaar (Mazboot, Kattar) Tableegi Jamaa'at ko ţaţol kar dekh lijiye.
💥👉Ůse Aap Nihaayat khushk mizaaj, Bad khů (Bůri Aadat) aur mutakabbir (Takabbůr Karne Waala) paayeňge. Růhaani Shagůftagi, Zauq-e-Lateef, Gudaaz Qalb (Saaf Dil) aur Kaif-e-Ishq (Ishq Ki Kaifiyat) se woh aksar mehroom nazar aayeňge, balke najdiyoň ke Haq mein Shaqaadat-e-Qalb (Dil ki Bad Bakhti, Badmaashi) ki saaf-o-sareeh (Saaf Khůli Hui) HADEES waarid hui hai. Tableegi Jamaa'at ko bhi isi tarah Qiyaas (Andaaza, Soch) kar lijiye.

💥CONTINUE💥

🌷Aap Ki DU'AAOŇ Ka Taalib🌷
💖Shaikh Muhammed Javed Qaadri Az'hari💖
💚Apni Nek DU'AAOŇ Meiň Mujh Gunehgaar Ko Zarur Yaad Rakkheň💚


💚From:-
💐GULAAMAAN-E-RASOOL ﷺ💐
💚Share Our Blog Url💚
👇🏼👇🏼👇🏼👇🏼👇🏼👇🏼👇🏼
https://www.gulaamaan-e-rasool.blogspot.in

No comments:

Post a Comment