🌹بِسْـــــــــمِ الـلَّـهِ ِالرَّحْمَـــنِ اارَّحِيــــم🌹
🌹اَصَّـــــلَاةُ وَاسّـــلَامُ ُعَلَيـكَ يَـا رَســُولَ الـلَّـه صَلَّ الـلَّـهُ تَعـَالَى عَلَيـهِ وَآَلــِهِ وَسَلـَّـــــمَ🌹
🌷HUQOOQ-E-WAALIDAIN🌷
🌹MAA BAAP KI SHAAN AZ ROO-E-QUR'AAN🌹
💐💐PART-8💐💐
💐EK AJEEB WAAQIYA💐
💐👉"KITAAB WA'AZ BE NAZEER" meiň ek ajeeb waaqiya likha hai jo bilkul sachcha hai ke Ek shakhs ko HAJ par jaane ka shaoq huwa. Us ne apni WAALIDAH se Ijaazat maaňgi. MAA ne Kaha ke Bete ! Main Akeli hooň koi meri Khidmat karne waala nahi hoga, tum na jaao ! Woh (Beta) na maana aur MAA ko akela chhod kar chala gaya. MAA ko Ranj (Dukh) huwa aur woh Sabr kar ke baith gayi. Us ka beta SAFAR-E-HAJ kar raha tha ke Use kahiň raaste meiň raat ho gayi to qareeb ke Gaaon ki Masjid meiň jaa kar so gaya. Peechhli raat ko baahar se koi chor aaya aur masjid ke qareeb ke ek ghar meiň ghus gaya, kutchh cheezeň utha kar jaane laga to ghar waaloň ki Aankh khul gayi, woh chor ke peechhe bhaage, chor usi Masjid meiň aa ghusa jis meiň woh Naujawaan HAJ ko jaane waala musaafir soya huwa tha. Chor ne chori ka saamaan usi musaafir ke paas chhod diya aur Masjid ki deeqaar se chhalaaňg laga kar bhaag gaya. Muhalle waale Masjid meiň aa gaye, dekha ke Un ka saamaan pada hai, saath hi Naujawaan leta huwa hai. Unhoň ne Use hi chor samajh kar pakad liya aur saamaan samet Use Thaane le gaye ke yeh hamaara chor hai, Is se saamaan Bar Aamad (Mila) huwa hai. Us Naujawaan ne kaha ke woh to ek musaafir hai, HAJ ko ja raha hai aur yeh tumhara saamaan mere paas kaise aa pada hai mujhe maaloom nahi hai, magar Us ki baat na maani gayi. Hukm huwa ke use baazaar meiň ghumaao aur logon ko bataao ke bada hi yeh shakhs makkaar hai, chor hai aur apne chor hone ko chhupaane ke liye apne aap ko HAJ ka musaafir zaahir karta hai aur jo chori kar ke Masjid meiň panaah le kar dhoka deta hai, qoh yeh bada mujrim hai. Woh Naujawaan roya aur bola ke maiň chor nahi, lihaaza meri taraf chori ki nisbat na karo, haaň yun laho ke yeh MAA ka Naa Farmaan hai. AL'LAAH تَعَالَى Ne is ko is musibat mein phaňsa kar MAA ki Naa Farmaani ki saza di hai".
💐👉Lihaaza is waaqeā se saabit huwa ke MAA BAAP Ki Naa Farmaani ki saza insaan ko Duniya mein kayi shakloň mein mil kar rehti hai aur aakhirat mein bhi milegi. Is liye Aqal Mandi ka taqaaza yeh hai ke har surat MAA BAAP ki Raza Mandi ko aage rakkha jaaye.
💐👉Is waaqea se mutaalliq Raaqim (Writer) ne apni "MASNAWI QAADRI" mein SHER kaha hai jis ka matlab hai:
💐👉Ay Musalmaanoň ! Main chori ke bohtaan (Ilzaam) se to Bari (Aazaad) hoon, lekin mujhe yeh saza MAA Ke Farmaan ko Peeth dene ki mil rahi hai.
💥💥CONTINUE💥💥
🌷Aap Ki DU'AAOŇ Ka Taalib🌷
💖Shaikh Muhammed Javed Qaadri Az'hari💖
💚Apni Nek DU'AAOŇ Meiň Mujh Gunehgaar Ko Zarur Yaad Rakkheň💚
💚From:-
💐GULAAMAAN-E-RASOOL ﷺ💐
💚Share Our Blog Url💚
👇🏼👇🏼👇🏼👇🏼👇🏼👇🏼👇🏼
https://www.gulaamaan-e-rasool.blogspot.in
No comments:
Post a Comment